Monday 5 June 2006

Shairi from Fanaa

Last Tuesday I watched Fanaa and more than the movie, I fell in love with the shairi in it. Each and every shairi was so perfect and beautiful. The following are the shairis from Fanaa together with my attempt to translate them.

Tumhari khoobsurti ne khuda se ek khatha karadi
Kahin khud se nazar na lagjaaye, yoon tumhe nazar na di


Bethi hai hoton ko seeker, pachtaayengi aap
Ishq jag uththa hai, aisi hi khamoshi ke baad


Insaan ki khwahish ki koi inteha nahin
Do garz zameen chahiye, do garz kafan ki baat hai


Dard se aankhen char kar lenge, hum bhi imtihaan denge
Teri dosti ki khatir e dost, hum dushmanon se bhi pyar kar lenge


Aisa lagaa khuda ne rakh diya hamare dil pe haath
Liya naam hamara unhone, kuch aisi ada ke saath


Paani se pyaas na bhuji to mehkhane ki taraf chal nikla
Socha shikayat karun teir khuda se, par khuda bhi tera aashiq nikla


Aag suraj mein hoti hai, chalna zameen ko padhta hai
Mohabbat nigahen karti hain, tadapna dil ko padhta hai


Jaan use do, jo apna dil tumhe de
Lekin apna guroor sirf uspe qurbaan karo, jo tumpe fanaa ho jaaye


Bhul karke humse koi bhul hooyi ho
To bhul samajhkar bhula dena
Lekin bhulana sirf bhul ko
Galti se bhi hamein na bhula dena


E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse, Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde
(ok this one is kinda tough. i'll need more time)

The following is my favourite- short and sweet

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeâ.
(may my breath find refuge in your heart,
may my life get destroyed in your love)

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
(in love the eyes are the language of the heart,
true love is always mute,
if you get oain in love why worry,
i have heard with pain the love becomes even stronger)

Phool hun Gulaab kaâ, Chameli ka mat samjhnaâ
Aashiq hun aapkaâ
Apni Saheli ka mat samjhnaâ
(i am a rose, not a jasmine
i am your lover,
don't think i am your friend's)

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
(how will you go away from me, how will you forget me
i am the scent that is in your breath,
how will you stop your own breath?)

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karteâ


Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega
hai itana dard ki tera daman bheeg jayega..
(let me cry today till my eyes are swollen
take me in your arms and let yourself get drenched,
the river caught in my heart will get released,
there is so much pain that your bossom will be drenched)

adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren thai ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham
(my breath was incomplete, my heartbeats were incomplete and i was incomplete,
but today the moon is complete in the shy and now i am complete)


3 comments:

Anonymous said...

i love the fanaa poems, i think the best one is jaan use do jo apna dil tumhe de, lekin...
that one is beautiful.
thanx for puttin the rest of the shairi on ur site. that made my day

Unknown said...

hi there i'm glad you enjoyed the fanaa shayri. you can check out some original shayri on the other posts too..

Anonymous said...

dudeeeeeee
i loved fanaa and finally i hv all d shayari....
charu i soooo love uuu...
wonder wt id do w/o u...